Ab bas bhi karo!

Yeh jo baat-baat par tum apni soorat ko,

Kuchh kam sa batate ho, ab bas bhi karo!

Yeh jo chun-chun kar neeli shirt pehante ho,

Aur baki rangon se katrate ho, ab bas bhi karo!

Yeh jo apne rang ko duniya ki nazron mein,

Kabhi thoda, kabhi behadd thukrate ho, ab bas bhi karo!

Yeh jo apni chhoti-chhoti aankhon se kayal banate ho,

'Haina', 'thik hai' bol kar har baat samjhate ho, ab bas bhi karo!

Kaise honge woh log jo tumse mile, par mil na paye,

Kaise honge woh log jo qareeb gaye, par chhu na paye!

Suno! Khush Raho!

Yeh jo noor din-b-din badhta ja raha hai, ise samet lo,

Yeh jo rang tumhara khilta ja raha hai, ise jee lo!

Phir kisi din, gar lage ki ab phir se wahi raat hai,

Dhal gaya sooraj, phir purane se halaat hain,

Un gehre sannaton mein, un doobte ujalon mein,

Mujhe yaad kar lena, mera number aaj save kar lena!

Beshaq! Tumhe mera naam bhi yaad nahi hoga,

To phone mein 'aakhri umeed' ke naam se rakh dena!

Khuda Khair rakhe, tumhe kabhi aisi zarurat na pade,

Phir bhi, kisi roz, kisi din, yeh naubat aa hi jaye,

To mera dar, khula hai, khula hi rahega tumhare liye!

Haina? Thik hai?

Write a comment ...

Ritika

Assistant Professor, Malaviya National Institute of Technology Jaipur. PhD, Indian Institute of Technology Roorkee.